Friday, January 30, 2009

Tujhe Yaad Kiya




Aaj phir toot k bikhara to tujhe yaad kiya,


Dil mera dard main duba to tujhe yaad kiya,

Khuwab ashkon main dhal gaye teri surat le kar,

Aaj phir ghum ne sataya to tujhe yaad kiya

Khushiyan besumaar hain mere jiwan ki tarha,

Aaj phir Janu main roya to tujhe yaad kiya,

Zindagi beet gai hai ghumon k saye main,

Bhool kar bhi kabhi hansa to tujhe yaad kiya,

Jab bhi teri judai k aazab lamhon ne,

Mujh ko betaab kiya to tujhe yaad kiya,

Lakh doori sahi lekin meri jana jab bhi,

Dil tere naam per dharka to tujhe yaad kiya.....!!!!

By:- "Dhirendera Kumar Singh"

No comments: